Sunday, March 11, 2012

jeeNeDO...


zinda hai saanse
bejaan safar ye
mushkil hai raasta
ye dil akela
armaan sajaye
baitha hai bewajah

itni guzarish hai maanlo
dil todona  jeenedo

sapno ki duniya
lekar uda ye
pairon ke neeche      
koi zamin na hai
fir bhi chala hai
vo manchala hai
nanha sipahi
mera dil sirfira

sazish hai duniya
ye nadan musafir
mushkil hai raasta
is anjuman mein
lakho farebi
tu kisse ja mila

itni guzarish hai maanlo
dil todona  jeenedo

katon se guzre
nange badan ye
raato ko roye
majboor kitna hai
fir bhi chala hai
vo manchala hai
nanha sipahi
mera dil sirfira