har pal ek lamha peeche chhut jata hai...
kaid karna bhi chao to haanth nai aat hai...
yado ki razai mn sir chhupa ke rehta hun aaj kal...
jab aankh kholu tb sach nazar aata hai...
sach jo kisi ka jhunt hai....
humsafar jo kisi aur ka mehboob hai...
zindagi jo sirf "ek jeena" reh gayi
khooon se sirf pasina reh gayi.......
aarzu ab ek majboori hai...
mohabbat ab zaroori hai...
ho na paya jo vo kahani hai...
jo ho gaya vo afsana yakin ban gaya...
fursat ke pal kaat te hain...
ayine se ajnabi jhankte hain...
milte hain mukaam to vo manzil nai...
jo nai milta uske peechhe bhagte hain...
savera ho to shaam ki yaad .........
shaam ho to savere pyara...
kya chahte hain hum khud nai jaante hain...
judai ka bhi gum nahi...
mohabbat ka yakin nai...
bharosa sabse bada dhoka hai...
fitrat ek sacchai hai...
duniya sach mn gol hain......
jhamela bada unmol hain...
jiski keemat har vaqt chukate hain...
par roz phir jeene aate hain...
has kar aas bhi karte hain...
har pal mn aansu bant te hain
so jaun to sapne dekhta hun...
jagun to sota rehta hun...
kho dun to maine paya nai...
pa lun to sochta rehta hun...
khatm ho jaye to dukh hai......
khatm na ho to nasoor....
ajeeb hai to kyun hai...
ajeeb nai - to kyun nai...
mashhoor hun to fizul hai...
gumnaam hun to zalil...
thikana hai to boriyat hai...
kahanbadoshi hai kubul...
fir akelapan gher lega ek din...
aur saanse rukne lagenge...
waqt hoga nahi aur...
zindagi thakne lagegi......
tab usi chhav ki yaad aayegi shayad...
jahan zindagi kabhi ruki thhi...
humne pehchana nai par vo ab bhi vahin padi thhi...
chal to diye thhe hum bas firk sirf itna sa thha...
vo aaj bhi vahin padi hai...kal bhi vahin padi thhi
No comments:
Post a Comment