Saturday, August 18, 2012

yUn hi....


zindagi se wafa bhi na ki
aur jeeta bhi gaya
socha to bahot
par gunah karta bhi gaya

galtiyo se sikha
dohraya
fir sikha fir dohraya
ye silsila chalta hi raha

raaste ki dhool ko
pair se udaaya
zamane ko bhool kaar
jazbaat ko nibhaya

khushi ko pehna bhi
odha bhi chhidka bhi
kabhi baanta bhi kiya

gum ko kabhi takiye mein
kabhi chadar mein
kabhi razai mein
sokh liya

bair khud se kiya
manaya bhi khudko
aas ki nahi
kabhi jagaya na usko

fikr iski ki bas jee lu
zinda rehne ka vada liya
aur nibhaya bhi kiya

kasak ko ponchh liya
kisi gande rumaal mein
na dekha use kabhi
na dhulaya

ek shaam mein bitayi zindagi
fursat se guzaaari zindagi
na kisi ke liye
na kisi ke saath
jo kiya
kisi ko kabhi bataya na kiya...

No comments:

Post a Comment